Filmy Quotes
Dialogues, Lyrics & More

Home

Movies

Stars

Singles

Categories

Roles

Evergreen

Quiz

Support
Inspiration

Inspiration Dialogues

(Page 37 of 51)
# 721
Kabhi kabhi bade punya karan ke liye chota paap karna padta hai
To do a great right we must do a little wrong
# 722
Kisi ke kehne se insaan chota nahi hota ... agar chota hota hai toh khud apne ehsaas se
A person doesn't become small just by someone calling him ... if he is small then only by his feelings
# 723
Aapke mann mein joh bhi hai woh bata dena chahiye ... isse khud ka hi nahi aapke aas paas rehne waalon ka mann bhi halka ho jaata hai
You should say whatever is there in your heart ... with that not only yours but the people around you also feel light hearted
# 724
Imaandari na bazaar mein khareedi jaati hai aur na hi kagaz par likhi koi aaisi pankti hai jisse yaad karlo ... imaandari ek sanskar hai
Honesty is not bought in the market and neither it's a few words written on a paper that you remember ... honesty is a sacrament
# 725
Is duniya mein aage badne ka ek hi tareeka hai ... kisi ko bhi apne se bada mat samjho ... phir yeh duniya tumhari hai
There is only one way to move forward in this world ... don't consider anyone bigger than you ... and then this world will be yours
# 726
Daulat se kai zyada ooncha darja us insaan ka hota hai ... jiske usool aur adarsh oonche ho ... aur jinhe banaye rakhne ke khatir woh badi se badi qurbani de sakta hai
Bigger than money is the status of a person ... who has high principles and values ... and for maintaining them he can even give the biggest sacrifice
# 727
Yeh khaki vardi peheneke sirf do hi matlab hai ... ya toh zulm ko khaak mein mila do ... ya shaheed hokar khud khaak mein mil jao
Wearing this police uniform means only two things ... either crush cruelty into the soil ... or else become a martyr and get mixed into the soil
# 728
East or west never rest until you find the best
East or west never rest until you find the best
# 729
Agar marne ke baad bhi zinda rehna hai ... toh doosron ko zindagi dena seekho
If you want to stay alive after dying ... then learn to give life to others
# 730
Jab kuch karne aur na karne dono mein hi risk ho ... toh kuch karna hi achcha hota hai
When there is a risk in both doing and not doing something ... then it's better to do something
# 731
Kom toh bas ek hai ... insaan ki
There is only one caste ... which is humanity
# 732
Insaan marta aur jeeta sirf apne khayalon mein hai ... varna maut jaisi toh koi cheez hi nahi hai
A person dies and lives only in his imagination ... otherwise there is nothing called as death
# 733
Zindagi toh dhoop chaon ki tarah hoti hai ... is mein agar bure log hai, toh achche log bhi hote hai
Life is like sunlight and shade ... if there are bad people in it, then there are good people as well
# 734
Is duniya mein dard bahut hai aur baatne waale haath bahut kam hai ... phir bhi aagaaz hai yeh jisse anjaam tak nibhana hai ... khoon hai jab tak ragon mein, har zulm ko mitana hai
There is a lot of pain in this world and very few hands that want to share that ... but still this is a start that we have to fulfil till its end ... until we have blood running in our veins, we have to erase every cruel act
# 735
Zindagi ki khushi duniya ko pa lene mein nahi ... apne aap ko kho dene mein hai
Happiness in life is not about achieving the world ... it is about forgetting yourself
# 736
Insaan yaadon ke sahare nahi, umeedon ke sahare jeeta hai ... log mitt jaate hai, zindagi nahi mitati ... woh hamesha aage badti rehti hai, kisi naye sahare ke umeed mein
A human doesn't live on the support of memories, he lives on the support of hopes ... people die, but life doesn't die ... it always keeps moving ahead, in hope of some new support
# 737
Aadmi chahte hue bhi apna ateeth nahi badal sakta ... lekin apne aaj ko sudhar sakta hai ... apne kal ko badal sakta hai
Even if a person wants he can't change his past ... but he can better his present ... and he can change his tomorrow
# 738
Meri teen baatein yaad rakhna bete ... sachai se kabhi mooh modna nahi, zulm ke aage kabhi jhukna nahi, dil ki pehli awaaz sunna ... kyun ki pehli awaaz parmatma ki hoti hai ... bad mein shaitan bolta hai
Remember these 3 things my son ... never turn your face against the truth, never bow down in front of injustice, listen first to your heart ... because the first voice is that of god ... and then the devil speaks
# 739
Life hum mein itna sab kuch deti hai ... aur hum itne se ke liye aankh band karke behte rehte hai
Life gives us so much ... but we still sit keeping our eyes closed for smaller things
# 740
Insaaniyat inteqam nahi ... insaaf chahti hai, aman chahti hai
Humanity doesn't want revenge ... it wants justice, it wants peace
Copyright © FilmyQuotes.com